From:- Javed Iqbal
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya,
Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya…!
Kuch din to mera aks raha ayeena naqsh,
Phir yoon huwa ke khud mera chehra badal gaya…!
Jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay,
To kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya…!
Kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari,
Us nay churaaya haath to sehra badal gaya…!
Koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi,
Jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya…!
Ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal,
Wo be niaaz saara ka saara badal gaya…!
Uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan,
Parda utha to saara tamaasha badal gaya…!
Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay,
Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya…!
Kehnay ko ik sehan main deewar hi bani,
Ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya…!
Shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha who,
Manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya…!
Qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi,
Tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya…!
Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka,
Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya…!
Andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee,
Us no bahaar naaz ka chehra badal gaya…!
Aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye,
Woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee…!
Apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log,
Hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya…!.!!.!!!!