Bateen kartey raho
Bateen suntey raho
Par udasi nigahoon main lana naheen
Kamiyabi yahan zindagi hay yahan
Roshni hay yahanhar khushi hay yahan
Bohot dour houn dais sey
Kab sey pardais main
Houn main dolat k pichey lagi raismain
Bateet suntey raho
Bateen kartey raho
Farz ko apney lekin bhulana naheen
Baad muddat k phir
Yeh nazarey miley
Apni mitii mili apney pyarey miley
Ham ko jo kuch mila dais sey mila
Is hqeqat sey aankheen churana naheen
Tuj sey mil kar laga istarah sey mujhye
Guzra bachpan ka jaisey woh zamana naheen
Bateen kartey raho
Bateen suntey raho
Beeti batoon ko dil sey bhulana naheen
Janta houn yahan ilm ki hay kami
Jab diya na ho kaisey ho roshani
Muj ko ahsaas tha
Is ki kia hay waja
In ki kismat main kion agey jana naheen
Theek tha faslah
Main palat aoun ga
Kam as kam ek diya toh jala paoun ga
Dekhey jab merey sath sab aa gaey
Ab qadam pichey ham ko hatana naheen
Bateen kartey raho
Bateen suntey raho
Jagey jazboon ko apney sulana naheen
From:- Saba Sagar