From:- Mohd Anwar
Bada Sukoon Hai, Aazmaayishen Bahut Kum Hain
Chahat Ko Mulakaaton Ki Aarzoo Bhi Nahi Chahiye
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye
Ye Ektarfa Mohabbat Hi To Hai Jisne Zinda Rakha Hai
Ibadaton Ko Ilzaam Deke Dua To Na Kharaab Kijie
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye
Kitne Saal Kitne Din Ruke Rahe Ki Kab Aaoge
Aate Hi Hum Par Phir Se Shak Ki Barsaat Na Kijie
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye…
Dhadakano Me Aisa Basa Naam Ki Naam Hi Dhadkan Ban Gaya
Ab Saason Ko Nafraton Se Rukne Ka Paigaam To Na Bhejiye
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye…
Sachhi Mohabbat Ko Naagwaar Hai Zara Bhi Shikayat
Dardon Me Rahna Manzoor Hai Aap Dil Na Dukhaiye
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye…
Mohabbat Roohon Ki Dil Ki Lagi Hai Koi Dillagi Nahi
Khudaya Ise Duniadaari Se Is Berahmi Se Na Jodiye
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye
Har Pal Bikharkar Bhi Masoom Ehsaason Ko Mahfooz Rakha
Kitne Naazuk Hain Ye,Phoolon Ko Kaanta To Na Kahiye
Koi Ehsaan Na Kijie Ise Ektarfa Hi Rahne Dijiye !!