From:- Saqib Mehmood Abbasi
Ek din main akela tha, soch raha tha kuch,
Puri duniya ghum rahi thi aankhon me mere,
kuch ko main dekh raha tha, kuchh ko main soch raha tha…
Achanak mujhko khyal aaya,kuch mujhko yaad aaya…
Silsila shuru huwa mere hi ghar se logon,
Behan meri thi ghar pe aayi, aankhon me thi aansun laayi…!
Sisakti wo ro rahi thi, aankhen kuch bol rahi thi…!
Ek shikayat thi aankhon me uske,shard lehar taari tha mujhpe…
Baap bechara chup baitha tha,suni aankhen thi uski…
Maa dilasa de rahi thi,par aankhen na kuchh bol rahi thi…
Uski mazbur aankhen hume ghur rahi thin,wah kuchh dhund rahi thi…!
Shayad pichle din yaad aa rahe then,jab hum sab mil kuch ga rahe the…!
Main yaaron tadap gaya tha,dhundh raha tha tanhayi main…!
Sab ko chhod main alag huwa, bahut tha mujhko dard huwa…!
Kya karta main mazbur tha, Ehsaas se hi main dur tha…!
Ek nafrat ki chingari thi dil me, ek inteqam ki aagh thi dil me..
Phir maine khud ko samjhaya, dil bhi mere saath aaya …!
Maine ek ahed kiya, khud se khud ko maang liya…!
Kabhi laaunga kisi ko ghar me,bithaunga use khushi ke ghar me…!
Ek ladki ka dard samajh raha tha,khud ke dard se jo mar raha tha..!..!.!!!