Guzre lamhoon ki uljhi hui door ke us taraf,
Khawab mere jahan mati main they..
Baarshon ne wahan ghaas itni ugaa di,
Koi rehnama si ilamat, nishani kuch bacha hi nahin
Kuch bacha hi naheen ke kisi yaad ki
koy ulji hui gira kholty!
Woh sira dhundhty!
Eik bheidoon bhara aur zamanoon pe phela huwa
Woh sira dhundhty!
Jo kaheen khawab aur us ki thabir k darmiyan kho geya!
Ho chuki hain bohut hijar ki baarshain
Din bohut ja chuke!
khawab mere jahan dafan mati main hain
Ab wahan har taraf ghaas hi ghaas hay
Aur is ghaas main sarsarata huwa
Saanp sa eik dar hay,
kaheen yeh na ho!
Dhundty dhundty woh sira mil bhi jaey!
Woh girah khol bhi jaey!
Toh lamhon ki uljhi hui dour k us taraf
Kuch na ho……!!!
From :: Saba Sagar
My Mar Bhi Jau Toh
Use Khaber Bhi Na Hone Dena ,,
Qki ,, Masroof Sa Shaks Hai
Kahi Uska Waqt Barbad Na Ho ,, MS