From:- Nafees Ahmed
Aakhiri tiis aazamaane ko,
Jii to chahaa tha muskurane ko..
Yaad itni bhi sakhtjaan to nahi,
Ik gharaundaa raha hai dahaane ko..
Sang rezoon mein dhal gaye aansuu,
Log hansate rahe dikhaane ko…
Zakham-e-nagmaa bhi lau to deta hai,
Ik diyaa reh gaya jalaane ko..
Jalane waale to jal bujhe aakhir,
Kaun deta khabar zamaane ko..
Kitane majbuur ho gaye honge,
Ankahi baat muunh pe laane ko..
Khul ke hansana to sab ko aata hai,
Log taraste rahe ik bahaane ko..
Rezaa rezaa bikhar gaya insan,
Dil ki viraaniyaan jataane ko..
Hasaratoon ki panaah gaahoon mein,
Kyaa thikaane hain sar chupaane ko…
Hath kaantoon se kar liye zakhmi,
Phool baaloon mein ik sajaane ko…
Aas kii baat ho ki saans ‘ada’
Ye khiloune hain toot jaane ko…