From:- Sikandar Khan
Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra,
Jalle Chirag to Bujhne Laga Mera Chehra..!
Woh Tere Hijar Ke Din woh Safar Sadiyon Ka,
Tu Un Dinon mein Kabhi Dekhta Mera Chehra..!
Judaiyon K Safar Mein Rahy Hain Saath Sada,
Teri Talaash..! Zamana..! Hawa..! Mera Chehra..!
Mere Siwa Koi Itna udaas B To Na Tha,
Khizaan Ke Chand Ko Achha Laga Mera Chehra..!
Kitab Khol Raha Tha Woh Apny Maazi Ki,
Warq Warq Pe Bikhrta Gaya Mera Chehra..!
Sehar K Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhain,
Safar Ki Gard Mein Lipta Huwa Mera Chehra..!
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qiyamat Thi ?
Badan Ki Shaakh Se Phir Gir Para Mera Chehra..!
Jisy Bujha K Hawa Sogwaar Phhirti Hai,
Woh Shama Shaam-e-Safar Thi Keh” Mera Chehra..!
Ye Log Kiun Mujhy Pehchanty Nahi MOHSIN,
Main Sochta Hoon Kahan Reh Geya Mera Chehra ?