Janey kyun apni hansi aap urana chahoo’n
Dil ki her baat zamaney ko sunana chahoo’n
Usko khushboo ki tarha sath bhi rakhna apney
aur phir usko zamaney sey chupana chahoo’n
koi bacchha merey ander bhi chhupa baitha hai
Ruth jata hai, main jab usko manana chahoo’n
Hai muhabbat to muhabbat ke kia hai ma’aney
Main to Milne ko faqat ek bahana chahoo’n
Ek machhli ki terha jaal main aaya hoon mai’n
Aur phansta hoon jo ab khudko chhurana chahoo’n
Ek uljhan main mujhey daal dia hai usney
chhor pauon, na apna banana chahoo’n
Mujh ko bhi hain kuch yaad purani batei’n
Bhool ker bhi na jin hein main to bhoolna chahoo’n
From:- Saba Sagar