From:- Sikandar Khan
Labon pe phool khilte hain kisi ke naam se pehle,
Dilon ke deep jalty hain charagh-e shaam se pehle..!
Kabhi manzar badalny par b Qissa chal nahin pata,
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle..!
Yahi taary tumhari aankh ki chilman mein rehty the,
Yahi sooraj nikalta tha tumhare baam se pahle..!
Hui hai shaam jungle main parindy laut.te hoon ge,
Ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pehle..!
Ye saare rang murda the tumhari shakal banne tak,
Ye saare harf muhmal the tumhaare naam se pehle..!
Hua hai wo agar munsif to Amjad ihtiyatan hum,
Saza tasleem karte hain kisi ilzam se pehle !