Nashtar ki tarah chubhate hain, dil tuta hai jab se,
Tukde ye mere dil ke bikhar kyun nahin jaate.
Tum kehte they hai waqt hi har chot ka marham,
Phir zakhm mere dil ke bhi bhar kyun nahin jate.
Ilzam-e-qatl mera, gawara nahin tum ko,
Massom agar ho to mukar kyun nahin jaate.
Jab gham se hi labrez hain hain lamhaat khushi ke,
To qafile yadon ke thehar kyun nahin jate.
Har lafz farebi hai, har chehra chalawa,
Insaan ke mukhaute ye utar kyun nahin jaate.
Ta-umr gham-e-zeest se tadpa kiye lekin,
Ye hi na kabhi socha ki mar kyun nahin jaate.
Kyun ab bhi tabassum hai, hothon pe Anil ke,
Murjhaye hue gul se, bikhar kyun nahin jaate…i.t.
From:- Indresh Tiwari