Main khayal houn kisi aur ka mujhe sochta koy aur hay
Sar_e_ainah mera aks hay pas_e_ainah koy aur hay
Main kisi k dast_e_talb main hoon to kisi k harf_e_dua main hoon
Main naseeb hoon kisi aur ka mujhe mangeta koy aur hay
Ajab ahtbar be ahtbari k darmian hay zindagi
Main kareeb hoon kisi aur k mujhe janta koy aur hay
Wohi munsibon ki rawaitain wohi faslon ki ibartain
Mera jurm to koy aur tha par meri saza koy aur hay
Teri roshni mere khadokaal se mukhtalif to naheen magar
Tu kareeb a tujhe dekh loon tu wohi hay ya koy aur hay
Jo meri riaazt_e_ nemshab ko “Saleem” subha na mil saki
To phir is k mahni to yeh huwe k yahan KHUDA koy aur hay!!!
From:- Saba Sagar