From:- Rashmi Chand
Ghazal By:- Firaaq Gorakhpuri
Bahut pahale se un qadamon ki aahat jaan lete hain,
Tujhe ai zindagi hum door se pehchan lete hian..!
Meri nazaren bhi aise qaatilon ka jaan-o-imaan hai,
Nigaahen milate hi jo jaan aur imaan lete hian..!
Tabiyat apani habarati hai jab sun-saan raaton mein,
Hum aise me teri yaadon ki chaadar taan lete hain..!
Khud apna faisalaa bhi ishq me kafi nahin hota,
Use bhi kaise kar guzaren jo dil me thaan lete hain..!
Jise soorat batate hain pata deti hai seerat ka,
Ibaarat dekh kar jis taraha maani jaan lete hain..!
Tujhe ghataa na hone denge karobaar-e-ulfat me,
Hum apne sar tera ai dost har ehsaan lete hain..!
Hamari har nazar tujh se nayi saugandh khaati hai,
To teri har nazar se hum naya paigaam lete hain..!
Firaq aksar badal kar bhesh milataa hai koi qaafir,
Kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchaan lete hain..!!