Dhundli si unki ek parchai nazar aati hai,
jo aati to hai pal bhar ke liye, aur chali jaati hai.
Main aksar naraaz ho jaata hoon us parchai se,
ke woh jab bhi aati hai dil mein ek dard jaga jaati hai,
Waise dil mein ek meethi si lehar bhi audti hai,
jo unki yaad ko phir taaza bana jaati hai..
Aur jaise jaise waqt guzarta jaata hai,
unki yahi tasveer dhadkano mein samaa jaati hai,
Main isi se khush rakhna chahta hun apne dil ko,
par na jaane kyon unse milne ki talab mujhe satati hai..
Jab bhi main us parchai ko gaur se dekhta hoon,
to mujhe unki saadgi hi nazar aati hai,
Haan wahi saadgi, jis par main sab kuch lutaa baitha hoon,
wahi saadgi, jo mujhe unki sachchi tasveer dikhlaati hai..
Dhundli si unki ek parchai nazar aati hai,
jo aati to hai pal bhar ke liye, aur chali jaati hai..
Hi, cool post. I have been wondering about this issue,so thanks for posting. I will certainly be coming back to your blog. Keep up the good work