Ghor aatank machaya par kiski hui jeet,
Kis kitaab mei likhi hai ye karur reet..
Kya laakhon begunahon ka khun bahana hai mazhab se preet,
Ladte hue samjhate hue varsho gaye beet…
Aatankiyon ke khouf se aaj ho rahe hain sabhi bhabheet,
Aisi ghinoni harkat karne walon ka banta nahi khuda bhi meet..
Wo bhayanak narsanghaar,
Tarikh 16/12 tha Mangalwar
Aur 26/11 din tha budhwaar…
Achank maut aa jayegi ye kisi ne na jana tha,
Chhin gaye apne, maankar bhi mann na maana tha…
Aakhir un aatankiyon ko is tarah kya paana tha..
Par ab apnon ke rakt ka ham sab lenge pratishodh,
Iss aatankwad ka milkar karenge virodh…
Dete hain chunouti har aatanki ko,
Ja rok sake to rok..!!!!