Written By:- Ehsaas Alam
Phoolon ka ghar bana kar kya mila mujhko,
Dhup ki tapish me EHSAAS Yun saath chhor gaye..!
Isliye daaman apna ab kaanton se uljhaana hai,
Ek khusnuma Kaanton ka ghar banana hai..!
Maine maana ki ye chubhe gen aksar,
Dard bhi hoga khun bhil niklegen paaun se mere..
jo saath chhod jayen aksar,ab saath na unka nibhana hai..
Ek khusnuma Kaanton ka ghar banana hai..!
Siddat-E-Judaaee ka dard kya hota hai,
Ashq behisaab bahte hain ye kyon hota hai..!
Phoolon ke Sang rah kar maine ye jaana hai,
Ek khusnuma Kaanton ka ghar banana hai..!
Kayi baar bikhre hain ye baarhan Sameta hai maine,
Qatra-E-khoon men dubi hain Ungliyan aksar..!
Phir bhi Zudaaee ka gham taa- zindagi uthana hai,
Ek khusnuma Kaanton ka ghar banana hai..!