From:- Saba Sagar
Woh ajeeb mousam tha
Ham ne kore kaghaz par
Apne khawab likhe the
Ham ne khawab dekhe the
Ankahi kahani k
Haruf sab duaa se the
Dard k bulawe the
Dil ki humrani thi
Duur afaq kanaron tak
Rahguzar hamari thi
Angint zamano main
Sans le rahe the ham
Ajnabi jazeron main
Naqshpa hamare the
Aankh main theen tahreren
Bepanah jalwon ki
Chandni k lahjye ne
Ham se guftgu ki thi
Zindagi ka har manzer
Lamha lamha jaga tha
Pahli baar hi ham ne
Zindagi ko dekha tha
Rooz wa shab k male main
Khawab hi to sache the
Khoof hay to itna hay
Faasloon k junghal main
Khawab kho bhi jate hain