Magroor Si Tikhi Larki – Hindi Kavita

Us ke kanwal hatho ki khushboo
kitni sabz aankho ne piine ki khwahish ki thi
kitne chamkile balo ne
chue janay ki aas main khud ko
kese kese bikhraya thaa
kitne phool ugaane walay paoon
us ki raah main ANKHAIN bichaye phirte thay
lekin wo har khwab k hath jhatakti hui
jungle ki maghroor hawa ki soorat
apni dhun main urti phirti
AAJ ……..MAGAR
sooraj ne khirki se jhaanka
tu us ki ANKHAIN , palken jhapakna bhool gayee
wo maghroor si tikhi larki
aam si ANKHO aam se balo walay
ik akharr pardesi k agay
do zaano bethi
us ke boot ke tasme baandh rahi thi
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.