From:- Saba Sagar
Main tanha tha,
Manzil manzil bhatak raha tha..
Tanhayi ka bojh uthaye,
Dil main apna dard chupaye..
Main tanha tha..!
Yun hi ek din,chalte chalet,
Husan ka jalwa samne aya..!
Behad rangeen behad sada,
Sansoon main sandal ki khushbo..
Us main tha kuch asa jado,
Yun mere ehsaas pe chaya..!
Us ki nazar se roshani le kar,
Main ne dil ka shaher sajaya..!
Main ne husne rah bhara kar,
Apna use mehboob banaya..!
Main ne us main kya kuch dekha,
Main ne us main kya kuch paya..!
Main yeh baat bataoun kaise,
Lafzoon ki zanjireen us k husan ko..
Main pehnaoun kaise..
Mera mehboob hay,
Gulrang nazaroon ki taraa..
Us ki har sans mehkti hay,
Baharoon ki tara..!
Muj pe us shokh ki inayat hay,
Haan yeh fasana naheen..
Haqeqat hay…!
Phool kahta hay k main us ki adayeen le loun,
Saaz kahta hay k main us ki sadayeen le loun,
Jo chamakta hay hazaroon main,
Sitaroon ki tara..!
Mere dil main ushi ki chahat hay,
Saadgi main bhi woh kiyamat hay..!
Husan ki baat ho jab,
Us ka hi naam ata hay..!
Us ki nazreen jo utheen,
Tour main jaam ata hay..!
Surkh honton pe tabasum hay..
Shahraron ki tara..!
Mera mehboob hay gulrang nazaron ki tara..!.!!.!!!!
bahoot khub
waah ji waah