From:- Mohsin Ali, Lahore
1) Us ko chaha bhi to izhaar na karna aaya,
kat gai umar humein pyar na karna aaya…!
Us ny maangi bhi to hum say judai maangi,
or hum they kay humein inkaar na kerna aaya…!
2) Tanhai Me Akelapan Sahaa Jaega,
Par Mehfil Me Akela Rahaa Naa Jaega…!
Unka Sath Na Ho Phir Bhi Jiaa Jaega,
Par Unke Sath Koi Aur Ho Wo Sahaa Naa Jaega…!
3) Wo mil jate hai kahani bankar,
dil me bas jate hai nishani banker…!
Jinhe hum rakhte hai apni palko par,
kyo nikal jate hai wo ansu bankar…!
4) Barson Ke Baad Hoti Hai Mulaqat,
Phir Bhi Rehti Hai Dil Me Dil Ki Baat…!
Nazron Se Karna Padta Hai Pyaar,
Par Nazar Milane Ke Liye Bhi Karna Padta Hai Intezaar…!
5) Maine faaslo ko mitaya vo judai kar gayi,
Kitni masoom thi vo lekin bewafai kar gayi…!
Vo sikha gayi kisi pe aitbar na karma,
Kitni burai kar k bhi ek achai kar gayi…!
6) Meri Barbadi Par Tu Koi Matam Na Karna,
Bhul Jana Mera Khayal Na Karna…!
Hum Teri Khushi Ke Liye Kafan Odh Lenge,
Par Tu Meri Lash Se Koi Sawal Na Karna…!
7) Na Milne ki khushi na bichadne ka gham,
Na tanha na udaas hai hum…!
kaise kahein kaise hain hum,
bus yun samajhlo bahot akele hain hum…!
8) Itna bhi mat intezar karao humein,
ki waqt k faishley pe afsoos ho jaye…!
kya pata kal tum laut ke aao,
aur hum hamesha k liye khamosh ho jayen….!
9) Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai…!
Koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai…!
10) Aitbaar na ho to aazma kar dekh lena,
is dil ke tukde karwa kar dekh lena…!
Tukde me nazar aayega mera pyar,
chahe koi bhi tukda utha kar dekh lena…!
11) Bikhre aansuo ke moti hum peero na sake,
uski yaad me saari raat so na sake…!
Beh na jaaye aansuo me taswir uski,
yahi soch kar hum ro na sake…!
12) Vo kehte hai majboor hai hum,
Na chahte huve bhi dur hai hum…!
Ujad di unhone zindagi humari,
Aur kehte hai bekasur hai hum…!.!!.!!!
nix shairi…..gud one…..keep on posting…:)