From:- Rahul Tiwari
Umad ghumad kar badal chaaye,
chanchal hawaon nay daud lagaii…
pagal mera man mayura,
hawa usko dekh pakad na paayi..
Mahak uth ti hai khayalon mein,
meray mann aangan ki phoolwaari…
khili hain anganeet champa chameli,
gaalon nay gulabon ki rungat churaii…
Udtay gesu badal say hawa mein,
badalon nay rimjhim ki ladi barsaii…
bheega anchal dharti ka barkha mein,
kaliyaan phool ban kar muskaii…!
Aisay mein …
Jhoom uthi ek kali yovan ka nikhaar liye,
garm hawaon nay chooma usko,
paagalpan bhara pyaar liye…
Jhuki tahni magar bikhari na kali,
chaaya tha ek badal preet ki bochaar liye…
rimjhim giri budain pyaar ki,
khilnay lagi kali rangon ki bahar liye…!
Khushboo say mahak uthi phoolwari mann ki,
badal ki chaah ka uphaar liye…
kaisay batalaaye kali badal ko,
anuraag bikhra rahi woh badal kay liye…!
Khili har pankhudi kali ki,
preet ki bahaar liye…
badal bhi jhuma dekh kar kali ko,
phool ban gayi kali badal ka pyar liye…!.!!!