Zindagi mein to sab hi pyaar kiya karte hain,
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahoon ga
Tu mila hay to yeh ehesas huwa hay muj ko
Yeh meri umar mohabbat k liye thori hay
Ik zara sa gam e doraan ka bhi haq hay jis par
Main ne woh saans bhi tere liye rakh chori hay
Tuj pe ho jaon ga qurban tujhe chahoon ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahoon ga
Apne jazbbat main nagmaat rachane k liye
Main ne dharkan ki tara dil main basaya hay tujhe
Main tasawar bhi judayi ka bhala kaise karon
Main ne kismat ki lakiron se churaya hay tujhe
Pyaar ka ban k nagebaan tujhe chahoon ga
Main to mar kar bhi meri jaaan tujhe chahoon ga
Teri har chaap se jalty hain khiyaloon main charag
Jab bhi tuh aey jagata huwa jado aye
Tuj ko choo loon to phir aey jaan e tumana muj ko
Dair tak apne badan se teri khushbo aye
Tu baharoon ka hay unwan tujhe chahoon ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahoon ga
From:- Saba Sagar
Yahi to khubsurt dosti ka
nata h,
jo bina kisi sart ke nibhaya
jata h,
rahe duriya to parwaha nai,
dost tu har pal dil me
basaya jata h,