Wo khud mein bada magroor hai, par phir bhi accha lagta hai,
Koi baat to usmein jaroor hai, wo mujhko accha lagta hai..!
Wo nazar mila ke jab mujhse, dheere se nazar churata hai,
Har saans main uske naam likhu, is qadar wo mujhko bhata hai.
Wo sargam sa ghulta hai saanso mein, wo geet hai wo saaz hai,
Nazron mein uski jaadu hai, use khud pe bada hi naaz hai.
Har adaa mein uski guroor hai, par phir bhi accha lagta hai,
Koi baat to usmein………………..
Koi aur jo usko dekhe to dil mein jalan si hoti hai,
Jaane us se kya rista hai, jaane kyon uljhan si hoti hai.
Wo gairo se baatein karta hai, has-has ke dil ko jalata hai,
Kyon nazron ki bhasha padhta nahi, kyon jaane mujhe tadpata hai.
Uski har khata manzoor hai, wo mujhko accha lagta hai,
Koi baat to usmein jaroor………………
Wo kabhi to aake milega mujhse, mere dil ko ye gumaan hai,
Is dil ki wo hi hasrat hai, is dil ka wo hi armaan hai.
Hum itni duaa karte hain rab se, uski naaz-oadaa yon hi bani rahe,
Koi ghum na usko choo paaye, uske labo pe hamesha hasi rahe.
Uski deed ko hum mazboor hain, wo mujhko accha lagta hai,
Koi baat to usmein jaroor hai…
From:- Sandeep Tyagi