Mile Jitne Bhi Gham, Woh Sharaab Samajhke Pee Lete Hain Hum,
Kise Dena Hai Yeh Hisaab, Bas Yunhi Pee Lete Hain Hum…
Kabhi Khud Par Toh Kabhi Haalaat Par Ro Lete Hain Hum,
Kyon Kisi Ko Batana Raaz-E-Dil,
Yunhi Chup Reh Lete Hain Hum….
Ab Na Gilaa Hai Kisi Se, Na Kisi Gham Ka Hai Darr,
In Sabhi Raahon Se Guzar Chuke Hian Ham…
Na Aas Hai Kisi Ke Aane Ki Na Kisi Ke Jaane Ka Hai Dukh,
Akele Aaye The Yunhi Akele Jaayenge Ham….
Socha Tha Kat Jayega Yeh Safar Badi Aasani Se,
Par Raaho Me Kaante Bhi Hote Hain,
Yeh Hi Samajh Na Paye Hum….
Thik Hai Phool Nahi To Kaante Hi Sahi, Inhi Se Nibha Lenge,
Uff Tak Na Karenge Kabhi Yunhi Labon Ko See Lenge Hum…
Kisi Ko Shayad Hasi Bhi Aaye Meri In Be-Takalluff Baaton Se,
Koi Shayar Toh Waise Hum Hai Nahi,
Bas Dil Ki Baat Keh Dete Hain Hum….
From:- Pratima N. Chheda
Presented By:- Nitendra Nittu, +919039996556