From:- Pravesh Singh
Jab Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai
—————————-
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Achha B Is Kadar Na Lage,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage…
—————————-
Zarurat hi nai alfaaz ki,
pyaar to cheez hai bas ehsaas ki..
paas hote to manzar hi kya hota,
dur se hi khabar hai hume aapki har saans ki…
—————————-
Kashish honi chahiye kisi ko yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jayenge,
waqt hona chahiye kisi ko milne ka,
bahane to apne aap hee mil jayenge.
—————————-
Lamhe judai ke bekarar karte hain,
Haalat meri mujhe laachar karte hain,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Ham khud kaise kahe ki
hum aapse pyaar karte hain.
—————————-
Ajeeb si kashish hai aap me
Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai
Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
Hum din me bhi soya karte hai.
—————————-
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
—————————-
Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.
—————————-
Lamhe ye suhane saath ho na ho,
kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
aapka pyar hamesha is dil mei rahega,
chahe poori umar mulaqat ho na ho..
—————————-
Na kabhi muskurahat tere hothon se duur ho..
Teri har khwahish haqiqat ko manzoor ho..
Ho jaye jo tu mujhse khafa..
Khuda na kare mujhse kabhi aisa kasoor ho..
—————————-
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazar se woh baat ho jaye.
Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,
ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.