Phool Ki Tarah Hasate Raho

From:- Pravesh Singh

Badi Aasani Se Dil Lagaaye Jaate Hai
Par Badi Mushkil Se Vaade Nibhaye Jaate Hai
Le Jaati Hai Mohabbat Un Raahon Par
Jahan Diye Nahi Dil Jalaaye Jaate Hai !!
******************************
Chale Gaye The Door Ek Pal Ke Liye,
Magar Aapke Dil Ke Kareeb The Har Pal Ke Liye,
Kaise Bhulenge Aapko Ek Pal Ke Liye,
Jab Kho Chuke Khud Ko Har Pal Ke Liye !!
******************************
Phool Ki Tarah Hasate Raho To Hum Khush Hai,
Dil Kholkar Jiya Karo To Hum Khush Hai,
Ye Nahi Kehte Ki Roj Milo,
Bus Roj Yaad Kiya Karo To Hum Khush Hai !!
******************************

Ye Dua Hai- Apki Zindgi Sawar Jaaye,
Har Nazar Me Bas Pyaar Nazar Aaye,
Jiski Talash Me Niklo Tum.
Khuda Kare Wo Khud Tumhari Talash Me Aaye !!
******************************
Karoge Yaad To Har Bat Yaad Aayegi,
Suhane Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi,
Talash Karoge Jo Humse Behtar Koi,
Nigah Dur Tak Ja Kar Laut Aayegi !!
******************************
Nanhe Se Dil Mein Armaan Koi Rakhna
Duniya Ki Bhid Mein Pehchaan Koi Rakhna
Acchi Nahi Lagti Jab Rehti Ho Udaas
Inn Hotho Pe Muskaan Sada Vahi Rakhna !!
******************************
Tumhe Ye Zid Ke Tum Ruthe Rahoge,
Hume Ye Zid Ke Hum Mana Kar Rahenge,
Tumhe Hai Kasam Tum Mat Muskurana,
Hume Hai Kasam Hum Hasa Kar Rahnge !!
******************************
Nasha Jaruri Hai Jindagi K Liye,
Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye,
Kisi Ki Mast Nigahon Me Doob Jao,
Bada Hasin Samundar Hai Khudkushi Ke Liye !!
******************************
Dil Me Murad Ho To Baat Zarur Hogi,
Ujade Bagh Me Bahaar Zarur Hogi,
Rab Jane Hum Kab Milenge,
Par Har Din Aapse Milne Ki Khawish Zarur Hogi !!
******************************
Waqt Guzrega Hum Bikhar Jayenge,
Kon Jane Hum Kidhar Jayenge.
Hum Aapki Parchayi Hai Yaad Rakhna,
Jahan Tanhai Mili Wahan Hum Nazar Ayenge !!
******************************
Lamhe Yeh Suhane Saath Ho Na Ho
Kal Mein Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho
Aapki Dosti Hamesha Iss Dil Mein Rahegi
Chahein Puri Umar Mulakat Ho Na Ho !!
******************************
Love & Smile
Pravesh Singh

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.