From:- Indresh Tiwari
Sukoon-e-jaan ke liye ab main duaa kaise karun
Dard jab tune diya hai to gilaa kaise karun
Thi koi mere hi haathon ki lakeeron mein kami
Apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karoon
Ab munaasib hai yahi usko bhulaa doon
Magar phool ko khushboo se judaa kaise karoon…
**********************************
Sachha pyaar bezubaan hota hai
Yeh to aankhon se bayaan hota hai
Pyaar mein dard mile to kya
Dard mein hi to apno aur parayo ki pehchaan hoti hai
Log kehte hai khushi zindagi, hai mohabbat nahi
Magar woh yeh kyun bhool jaate hai ki
Dhoka zindagi deti hai, maut nahi
Milna ho to mil lo aakar duniya ke chaman mein
Phir kab milogi, jab laash hogi kafan mein
Chand se pyaari chandni
Chandni se pyaari raat
Rat se pyaari zindagi
Aur zindagi se pyaare aap..
**********************************
Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,
Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko…
Chhedega mehfil me zikar hamara koi,
To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko
**********************************
Aap ki yaad me sab kuch bhulaye baithe hain,
Chiraag khushiyon ke bujhaye baithe hain…
Hum to marenge aap ki baahon mein,
Yeh bhi maut se shart lagaye baithe hain
**********************************
Yeh duniya waale bhi bade ajeeb hai
Kabhi hamse door to kabhi kareeb hai
Dard na bataye to hume kaayar kehte hai
Aur dard bata de to shayar kehte hai
**********************************
Har taraf khamoshi ka saaya hai
Zindagi mein pyar kisne paaya hai,
Hum to aapki yaadon mein khoye rehte hain
Aur zamana kehta hai dekho aaj phit wohi pagal aaya hai
**********************************
Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi
Mere pairon mein zanjeer nazar aayi
Gir pade aansu aankhon se
Aur har aansu mein aapki tasweer nazar aayi
**********************************
Woh yaad aayi bhulate bhulate
Dil ke zaqm ubhar aaye chupate chupate
Sikhaya tha jisne muskurana.
Usine rulaya hame haste haste
**********************************
Kabhi khamoshi bhi bohot kuch keh jaati hai
Tadapne ke liye sirf yaadein reh jaati hai
Kya farq padta hai dil ho ya koyla
Jalne ke baad to sirf raakh reh jaati hai
**********************************
Ae khuda aaj yeh faisla karde..
Usse mera ya mujhe uska karde…
Bohot dukh sahe hai maine…
Koi khushi ab to muqarrar karde…
Bohot mushkil lagta hai usse door rehna…
Judaai ke safar ko kam karde…
Jitna door chali gayi hai woh mujhse…
Usse utna qareeb karde….
Nahi likha agar naseeb mein uska naam…
To khatam kar yeh zindagi aur mujhe fanaa karde…