From:- Saba Sagar
Beetae huwe kuch din aise hain,
Tanhaii jenhain dorahti hai..!
Ro ro k guzarti hain ratain,
Aankhoon main seher ho jati hai..!
Sharma k kabhi choup choup jana,
Hans hans k kabhi chal cahl dena..
Chunri k mulaim kone ko,
Dantoon main daba k bal dena..!
Aawaz kisi k hansne ki,
Kanoon main abhi tak ati hai..!
Taqdeer ne ham ko lout liya,
Un ko yeh gilah ham bhul gayee..!
Aye kaash zabaan se kah sakte,
Majboor hain ya ham bhul gayee..!
Woh jaan_e_tamana kiya jane,
Kismat jo kiyamat dhati hai..!
Dewaar bani hai majbori,
Woh paas bhi rah kar paas naheen..!
Ham piyaas bujha leen aankhoon ki,
Itni bhi hameen to aas naheen..!
Barbaad bhi karti hai duniya,
Mujram bhi hameen kahlati hai !!