From:- Saba Sagar
Beetay huwe kuch din aise hain
Tanhai jinheen dohrati hay
Ro ro kar guzarti hain rateen
Aankhon main seher ho jati hay
Sharma k kabhi chop chop jana
Hans hans k kabhi chal chal dena
Chunri k mulaim kone ko
Dantoon main daba kar bal dena
Awaaz kisi k hansne ki
Kanoon main abhi tak ati hay
Taqdeer ne ham ko lout liya
Un ko yeh gilah ham bhul gaye
Aey kaash zabaan se kah sakte
Majboor hain ya ham bhul gaye
Woh jaan_e_tamana kiya jane
Kismat jo kiyamat dhati hay
Dewaar bani hay majbori
Woh paas rah kar bhi paas naheen
Ham piyas bujha leen aankhon ki
Itni bhi hameen to taab naheen
Barbaad bhi karti hay duniya
Mujram bhi hameen tahrati hay