Hum Ne socha Tha Ki Batayenge Sab Dard Usko Apne…
Us Ne Itna Bhi Naa Poochha Ki Udaas Kyun Ho…!!
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Bhool Kar Bhi Mohabbat K Jangle Main Na Aana …..
Yahan Saanp Nahi Insan Dasa Kartay Hain ……
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Kitne aansoo baha diye hai iss chaar din ki mohabbat mein…
Kaash sajde mein bahaate to gunehgaar na rehte!
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Na Rakh Mere Doston Ko Itna Masroof Ay Khuda,
Aisa Na Ho K Meri Jaan Nikal Jaye Or Unhain Khabar Tak Na Ho!!
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Mohabbat woh baarish hai jise chhune ki khwahish mein…
Hatheliya’n toh bheeg jaati hai, magar haath khaali reh jaate hai!
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Tujh Pe Likhna
Shuru Kaha Se Karu,
Ada Se Karu
Ya Haya Se Karu,
tu itna Pyari he meri jaan,
Mumkin Nahi Ke Teri Tarif Zuban Se Karu.. ♥
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
meri palko ka ab neend se koi talluq nhi rha…..
mera kaun hai iss soch mein meri raat guzar jaati hai.
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Waqt ko gujarte waqt nahi lagta,
Waqt milne par bhi waqt nhi milta.
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Hume kya maloom the ke aise bhi zamane aayenge..
Log karenge katal humara… aur hum kaatil kehlayenge…!
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥
Kisi se sirf itna hi door hona ki use aapki ehmiyat ka ehsaas ho jaye Lekin kabhi inta bhi door mat hona ke wo Aapke bin jina sikh jaye…
Phulon Se Acchi Unki Khushbu
Kaliyon Pyari Muskan ,,
Sitaron Sa Chamakta Chehra
Koyal Se Millti Juban ,,
Chaand Bhi Chup Jayega Yeh
Keh Ker Aasma Pe Mera Ab Kya Kaam ,,
Chandni Toh Aaa Nikli Zameen Pe
Kesi Hai Khudrat Ki Shaan ,,
Allfaz Kum Padte Hein Kehne Ko
Aesi Hai Meri Jaan Simran ,, SM
love u simran ,,
Wo ek ajnabi, khoobsurat, pari chehra si ek ladki…
Roz meri gali se guzar jati hai suna hai..
Wo kisi ladke se piyar krti hai suna hai..
Bahar Hoke talash e bahar krti hai…
Na koi Mel, na koii rabta lekin..
Na Jane kiyun usi waqt wo aa jati hai..
Kuch uske intazar ki adat si ho gyi hai mjhe..
Pta nhi kiya dhundti hai wo khud main..
Lagta hai wo mujh ko talash krti hai khud main, apni rooh main, apne gard o roshni se lawrez dil k kisi kone main..
Us ajnabi ki zururat ho gyi hai mjhe..
Lagta hai mere dukhon main, meri har khushi main wo shamil hai..main chahta hoon wo bus yunhi guzarti rahe..
Nigahon naaz se wo mjhe yu hi piyar krti rahe karti rahe…
Ek manzar aisa dekha
Bezar aur bejaan saiban tha uska
Arsh se farsh tak dararon se ghira
Sard tufani raat mai dastak deta pani
Mohtaj tha, mehfus tha magar gumaan se
Yuh! Maiyus aur bebas is saiban mai
Tadap-e-bhook badti jaye
Aur siskiyon mai raat simat ti jaye
Ye khaane ka ikhlaq nahi tha
Bachche roote jaye – maa bilakhti jaye
Chod-chad kr izzat-o-zillat
Nikal padi maa roti laane
Haiwano k bazar..
Woh kiya jane kiya hai manzar
Jinhe pata nh kiya hai garibi khanjar.