Zindagi… Tez bahut taiz hawa ka jhonka,
Jalti bhujti hui sham’ain mein mah-o-saal mere
Dhalta suraj mere maazi ke lehad ka qutba
Raig-e-sehra ki lakeerain hain khad’o’khal mere..
Aaj ki shaam, ke har saal issi shaam ke saath
Meri ukhri huwi saansoon mein girah lagti hay
Aasmaan wakt ke aanchal ki dhanak bunta hay
Saari dharti tan-e-arreyaan ki zirrah lagti hay
Zindagi… taiz bahut taiz hawa ka jhonka
Jalti bhujti huwi sham’ain mein mah-o-saal mere
Dhalta suraj mere maazi ke lehad ka qutba
Raig-e-sehra ki lakeerain hain khad’o’khal mere
Aaj ki shaam, ke har saal issi shaam ke saath
Meri ukhri huwi saansoon mein girah lagti hay
Aasmaan wakt ke aanchal ki dhanak bunta hay
Saari dharti tan-e-arreyaan ki zirrah lagti hay
Dil dharakta hai ke jalti huwi sham’oun ka dhuwaan
Shoula-e-karb mein thehleel na hojaye kaheen
Ji larazta hai ke manzar ke adhore pan ki
Aaj ki shaam se takmeel na hojaye kaheen
Aao kuch der ko hum zakhm shumari kar lain
Aur kuch dair mein har shamma phighal jayegi
Aaj ki bazam mein khoo jayein kahin so jayein
Aaj ki shaam bhi kuch dhair mein dhal jaayegi
Jalti bhujti huwi sham’oun ka bharosa kya hai
Zindagi.. taiz bahut taiz hawa ka jhonka ..
From :: Saba Sagar
Pehle Jisko Mujhse Baat Kiye
Bina Neend Nahi Aati thi ,,
Aaj Woh Mujhse Yaad Kiye
Bina Hi So Jate Hein ,, MS