Kis tara rokta hoon ashq apne
Kis tara dil pe jabr karta hoon
Aaj bi kaarzaar hasti main
Jab tere shehar se guzarta hoon
Is qadar bhi naheen mujhe maloom
Kis muhaly main hay makan tera
Koun batlaey ga nishan tera
Teri ruswaiyon se darta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Haal dil bhi na keh saka, garch
Tu rahi mudaton kareeb mere
Tu mujhe choor kar chali bhi gayi
Khair kismat meri naseeb mere
Go zamana teri mohabbat ka
Eik bhuli huy kahani hay
Kis tamana se tuj ko chaha tha
Kis mohabbat se haar mani hay
Ashq palkon pe aa nahen sakty
Dil main hay teri aabro ab bhi
Tuj se roshan hay kayenaat meri
Tere jalwe hain char suu ab bhi
Ab bhi main tuj ko pyaar karta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Aaj bhi kaarzaar hasti main
Tu agar eik bar mil jaye
Aarzuon ko chain aa jaey
Hasratoon ko karaar mil jaey
Jane kiya kiya khiyaal karta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Tuj se koy gilah naheen hay muj ko
Main tujhe beywafa naheen kehta
Warna eik beynawa mohabbat main
Dil k lutne pe kiya naheen kehta
Koy poursaan haal ho to kahon
Keisi aandhi chali hay tere baad
Din guzara hay kis tara main ne
Raat kaise dhali hay tere baad
Rooz jita hoon rooz marta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon!!!
From:- Saba Sagar
Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohbbat,
jo in tanhayion se ho gayi hai..!