(A Poem dedicated to helpless people)
Bahhot hai eid ki khushi
Magar jaley nahiN they chulhey jahaaN
Bilak rahey they nau-nehaal khuley badan, khuley gagan
ye dekh kar
karooN maiN eid kis tarah?
MaiN kya karooN
Thaher gaee udhar ko bhi nazar meri
haiN ek taraf asaaisheiN
haiN ek taraf ghareeb sub
ye muflisi hai ab talak na janey kyuN
zakaat farz hai magar
hai sood bhi haraam phir
na khatm ho saki ye muflisi haqeer ab talak
ye soch kar
karooN maiN eid kis trah?