Koi pyaar aur khalos us waqt tak
Mukamal naheen ho sakta
Jab tak us ki bunyad ahtmaad par na ho
Aisa mehsos hota hay………..k
Ahtmaad ki faza ahista ahista dam toor rahi hay
Aur be yakini ki aandhiyan chal pari hain
In aandhiyon ki gard se
Aankheen chuban se band ho rahi hain
Be yakinii ki is faza main saans lena bhi dushwar hay
Ahtmaad ka sahara naheen raha
To zindagi apne hi bojh taley dabti ja rahi hay…kaash
Is se pahly k zindagi be yakinii k sehra main dab jaye
Koi to ho jo humeen ahtmaad ka sahara de kar
Aur pyaar ki lathi pakra kar
Is daldal se bahir le aey
Kaash aisa ho…kaaash aisa ho jaey
From:- Saba Sagar