Phir phool koi shaakh par,
Sehma hua sa dekh kar,
Jaltay deiye ke samne,
Jhonka hawa ka dekh kar,
Tum kyon udaas ho gye,
Mosam khizan ka dekh kar,
Tum ghamon ke bojh ka,
Mosamon ke soaz ka,
Karb mat saha karo,
Udaas mat raha kro,
Ye roop hain hayat kay,
Rang hain kayenaat ke,
Kuch gham ki taiz barishien,
Kuch phool hain nishat ke,
Tum phool bas chuna karo,
Khaar mat chuwa kro,
Gham tum apni zaat ke Saba,
In bure halaat ke Saba,
Muje thama diya kro,
Udaas mat hua karo..!!
From:- Saba Sagar
Kaash Unko Kabhi Fursat Me Yeh Khayal Aaye Ki ,, Koi Yaad Karta Hai Unhe Zindgi Samajh Ker ,, SM