Aaj ham ayesa kuch kar jaye,
Rasme dunia se chal kahi jaye…!
Tere kandhe pe rakh ke sar apna,
Sari duni ko ham bhula jaye…!
Chal kahi aeyse des ham jaye,
Jis jagha piyar ho mohabbat ho…
Koi nafrat na shikayat ho jhan,
Har taraf phool ho bharei hon…
Door tak ham jhan nazar dale,
Piyar palta ho piyar basra ho…
Na koi gerr na koi praya ho,
Har taraf insaniyat ka pehra ho…!
Koi na jhut na koi dehshat,
Piyar hi piyar ki wo dunia ho..
Ik duj je ko sab lgayen galle,
Na kisi ko kisi se dehshat ho…!
Har zaban par sirf allah ho,
Har zaban par phla kalma ho..!
Jo khuda ne kha sabhi se he,
Pehle insaniyat ka chehra ho…!
Har labbon par khi lee tabbassum ho,
Har kisi dil me quran basta ho…!
Ik ho kar rhei sabbi bhai,
Chahe hinndu ho ya musalma ho…!
Piyar ki har taraf sune boli,
Beti babbul ki hon sabbhi bholli…
Biwi hon nek dil sabhi ki jhan,
Maa bhi sab ko piyar deti ho..
Bhai behnon pe jan dete ho,
Bhne sirf bhai ko piyar karti ho…
Mal dolat ki na rahe chahat,
Sirf insanniyat ki qimat ho..
Ya khuda tu bnade aesa jahan,
Jis me bas piyar.piyar palta ho…!
Karle bibbo Ki dua ye qabool,
Har taraf fir to jannate nazaara ho…!.!!.!!!!
Written & Composed By
Hameeda Ameer Bibbo