Aarzu Hum Rakhte Hain

From:- Kabir Shayer

Tere sath judkar bhi koi kya juda hoga,
Tujhe seene me basane ki aarzu ham rakhte hain..!

Koi muqaddar ka sikander banta hai to banjaye,
Tujhse to bas dil lagane ki khwaish ham rakhte hain..!

‘Jana’ teri gulami bhi karlun pasand hai mujhe,
Teri khidmat me jaan lutane ki iltija ham rakhte hain..!

Tu karde sar qalm mera uff bhi na karun,
Itni muhabbat seene me dafn tere liye ham rakhte hain..!

Tu agar muskuraye to khiza bhi gul-e-gulzar ho,
Tere chand se chehre pe muskurahat hamesha rahe..
Arman yahi ham rakhte hain..!

Tu jab chale to banjar zameen bhi khil uthe baharon ki tarha,
Teri thhokro me rehne ki manzuri bhi ham rakhte hain..!

Teri zulfein agar suljhe to theek..
Agar ye uljhe to koi mosam-e-bahar nahi,
Teri in zulfo me sone ki aas bhi ham rakhte hain..!

‘Jana’ meri jaanib se na pohonchegi kabhi takleef bhi tumhe,
Gar yakin na aye, to lo nikal ke seene se dil apna,
Saamne tumhare aaj ham rakhte hain..!

 

Kabir_shayer@yahoo.com
9211544813

 

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.