From:- Meri Pasand, India
Apno ko bakhso tum muskurahtein,
Khud bhi suno sada muskurate raho…!
Na daro kabhi zara sa bhi toofanon se,
Khwab haseen bas palkon pe sajate raho…!
Baharon ka baagh banao dil ko apne,
Mohabbat ki khusbo se use mehkate raho…!
Dilbar jo kabhi rooth jaye Rah-E-Wafa mein,
Apna hai wo yeh soch kar use manate raho…!
Mayoos jo koi ho jaye jeewan se apne,
Khuda ki qudrat usse tum samjhate raho…!
Haan Yeh aik bouhat munfarid si baat hai lekin,
Kabhi kabhi Khud ko bhi thoda tum azmaate raho…!
Roshni do jag ko andheri rahon mein tum,
Sitaron ki tarha tum har dam timtimate raho…!
Asaan nahin hai yeh kaam, magr karke dekho,
Koi shajar bano,Dhoop se logon ko bachate raho…!
Zindagi aik niyamat hai bouhat anmol si,
Sath iska e yaar har haal mein bas nibhate raho….!..!!!