Written By:- Hameeda Bibbo
Jan jayegi aesa lagta hai moot ayegi aesa lagta hai,
Eshq hota jab kahi jisko dunia chut ti hai aesa lagta hai..!
Nakaro piyaar tum kise se kabhi khud se hojaoge
Door kesa lagtahai phir to bas piyaar piyaar dikhta hai
Koi chalta nahi hai dil be bas hoke bebas kesa lagta hai
Chandni raat hai or wo dekho kitna bechain samandar lagta hai
Chum na chahta hai chand ko kitna bebas dekho lag ta hai
Shamma par mar mitaa hai par waana kesa wo dadhap hai dekho
Chand par hai chakor diwaana kitni shiddat se hay wo dekho
Piyaar jis ne bhi jab bhi jis se kia dil-se-dunia chut gaya dekho
Eshq allah se ya ke bande se hoosh usko nahi hai dunia ka
Esliye eshq mujh ko ye bhata es me sirf piyaar hi nazar ata
Dunia ki na burai dikhti hai na koi dosra nazaar ata
Piyaar ka ye nasha jis pe chadha raha na usko zamane se koi gila
Apne meh boob ki hi wo dhun me ye jahaa khaq yus ko lag ne laga
Aas ma ye zaameen lagti hai sara alam haseen lagne lagaa
Saam ne aye us ka jab mehboob qun khizaa bhi bahar lagne laga
Bhual jate hai wo jaha ka dar eshq jab sar ko had se chadne laga
Kesi diwaan gi hai ye ulfaat dar na dunia ka na khudaa ka hai
Moot ajaye gam nahi rehta sirf mehboob ki talaab rehti
Har ghadhi yus ke hi khyaalo me zind gi yuski yun basar rehti
Yus ko mil jaye bas sanam apnaa raab se har pal duwa yehi rehti
Bibbo Ki duwaa hai sab ke liye eshq jisse karo wo miljaye
Sachchi ulfat ho jin ki dunia me yunko mehboob apna mil jaye
Piyaar jisse bhi tum karo dil se phir to tum ko khuda bhi miljaye !!