Written By:- Hameeda Bibbo
MAA BAAP KI YAAD…
EK BETI KI ZABAANI…..BIBBO
Mere abbu mujhe rulate hei rooz sapno me mere ate hei,
Mujh ko keh te the dil jigar apnaa gear ka qun mujhe banate hei..!
Apne haatho me yun jhulate the jhula khud ko mera banate the,
Apne kandhe mujhe bitha te the mujh ko jan keh ke bulate the..!
Mei thi un ke chaman ki ek daali kat kar khud se door kar dali,
Ashq behte hei khud ke bhi phir bhi qun mujhe parai kar daly..!
Meri mamta mujhe bulati he rooz ake mujhe rulati he,
Jab bhi aankhe karun me band qun khyaalo me mere aati he..!
Kit ni pyaari meri maa thee wo har ghadhi me yuse satati thi,
Phir bhi wo na mujhe rulaati thi sara din wo gale lagati thi..!
Mujh ko nehlati wo dhulati thi naaz nakh re mere yuthati thi,
Meri galti sabhi chupaati thi mere babul sa na btati thi..!
Khana hatho se wo khilati thi pyaar se good me bithati thi,
Meri teechar khud ban jati thi sare achche gun sikhti thi..!
Aaj wo ammi ne mera abbu hei me hu or meri tanhaai he,
Yaad unki bahut hi ai he aankhe sawan si ye banai he..!
Dekhne ko unhe taras thi hun. Bhul bhethe he aaj mujh ko wo ?
Deke par des me – sabhi mujh ko yad mujh ko wo kar te hei ?
Thandi aahei wo bhi bhar te hei dekh ne ko mujhe taras te hei,
Haath pachta ke wo bhi maalte hei zoor dil par ab nahi chalta..!
Sari dunia ka dastur he. Jo sabhi maa baap uspe chalte hei,
Mujh ko wo bhul jaye dil se khudaa koshishe wo hazaar karte hei..!
Bhai behne sare rote hei jab bhi mujh ko phon kar te hei,
Me bhi un ke sath rooti hu apne ashqon se gham ko dhoti hu..!
Dil ko apne mna liya mene jaan sajan banaliya mene,
Ap to me bhi sabar se jiti hun zind gi apni unko keh ti hu..!
Sari duniya ko bhul bhethi hu pyaar me apne ek sajaan ke,
Bhul jao tum bhi ab mujh ko chen se tum raho rehne do..!
Bhuli yadei na satao tum lot ke apne ghar ko jao tum,
Mere baabul or maa ko ya phir mere paas laao tum..!