Jab mai chota tha,
Sayad duniya bahut badi hua karti thi..
Mujhe yaad hai..
Mere ghar se school ka vo rasta,
Kya kya nahi tha vahan,
Chat ke thele,
Jalebi ki dukaan,
Baraf ke gole,
Sab kuch….
Ab vahan
Mobile shop, Video parlour hai…
Phir bhi sab suna hai…
Sayad ab duniya simat rahi hai….
Jab mai chota tha..
Sayad shaame bahut lambi hua karti thi…
Mai hath me patang ki dorr pakde,
Ghanton udaa karta tha,
Vo lambi cycle race,
Vo bachpan ka khel,
Vo har shaam thak ke choor ho jana,
Ab shaam nahi hoti,
Din dhlta hai or sidhe raat ho jati hai…
Sayad waqt simat raha hai…
Jab mai chota tha,
Sayad dosti bahut gehri hua karti thi….
Din bhar vo hazum bnakar khelna,
Vo doston ke ghar ka khana,
Vo ladkiyon ki baatein,
Vo saath rona….
Ab bhi mere kai dost hain,
Par dosti jane kahan hai..
Jab bhi “Traffic Signal” par milte hain,
“HI” ho jati hai,
Aur apne apne raaste chal dete hain,
Holi, Diwali, Janamdin, Naye Saal par,
Bas SMS aa jate hain,
Sayad ab rishte badal rahe hain…
Jab mai chota tha,
Tab khel bhi ajeeb hua karte the,
Chupan chupai, Langdi tang, Posam pa, Tippi Tipi Taap….
Ab internet, office se fursat hi nahi milti…
Sayad jindagi badal rahi hai….
Jindagi ka sabse bada sach yahi hai sayad,
Jo aksar kabristan ke bahar board par likha hota hai…
Manjil to yahi thi ,
Bas
“Jindagi gujar gayi meri yahan aate aate”…
Zindagi ka lamha bahut chota sa hai…
Kal ki koi buniyad nahi hai,
Aur aane wala kal sirf sapne me hi hai….
Ab bach gaye is pal me..
Tamannao se bhari is jindagi me
Ham sirf bhag rahe hain..
Kuch raftaar dhimi karo mere dost,
Aur
Is zindagi ko jiyo…
Khoob jiyo mere dost….!!!!!!